Arshad Abdul Hamid

nafaz-e-nazm pur-israr hai aisa nahin lagta

Arshad Abdul Hamid

Tonk, Rajasthan, India

nafāz-e-nazm pur-isrār hai aisā nahīñ lagtā
gulistāñ meñ koī sarkār hai aisā nahīñ lagtā
yahāñ har jeb meñ ḳhvāboñ kī zar-muhreñ khanaktī haiñ
ye duniyā dard kā bāzār hai aisā nahīñ lagtā
ham apnī jhoñk meñ aage kī jānib baḌhte jaate haiñ
hamāre sāmne dīvār hai aisā nahīñ lagtā
sar-e-pindār se pā-e-junūñ kā rabt ġhā.eb hai
ye pīḌhī barsar-e-paikār hai aisā nahīñ lagtā
maiñ jaise ek rāh-e-sust-rau kī sair kartā huuñ
mirī rānoñ tale rahvār hai aisā nahīñ lagtā
umaD ke aayā to hai abr-e-girya matla-e-jāñ se
magar ye sā.iqa-bardār hai aisā nahīñ lagtā
ba-yak jast-e-tasavvur bazm-e-jānāñ meñ pahuñchtā hai
ye 'arshad' hijr kā bīmār hai aisā nahīñ lagtā
Top Urdushayar.com