qadmoñ ko Thaharne kā hunar hī nahīñ aayā
sab manzileñ sar ho ga.iiñ ghar hī nahīñ aayā
thī teġh usī haath meñ qātil bhī vahī thā
jo haath ki maqtal meñ nazar hī nahīñ aayā
ghar khod diyā saarā ḳhazāne kī havas meñ
niiv aa ga.ī tah-ḳhāne kā dar hī nahīñ aayā
kyā shāḳhoñ pe itrā.iye kyā kiije guloñ kā
peḌoñ pe agar koī samar hī nahīñ aayā
sau ḳhauf zamāne ke simaT aa.e haiñ dil meñ
bas ek ḳhudā-pāk kā Dar hī nahīñ aayā