Arshad Abdul Hamid

lakir-e-sang ko anqa-misal humne kiya

Arshad Abdul Hamid

Tonk, Rajasthan, India

lakīr-e-sañg ko anqā-misāl ham ne kiyā
bhulā diyā use dil se kamāl ham ne kiyā
shurū us ne kiyā thā tamāsha qurbat kā
phir us ke baad to saarā dhamāl ham ne kiyā
ulaT ke rakh diye ham ne junūñ ke saare usuul
junūb-e-dasht ko shahr-e-shimāl ham ne kiyā
faroġh-e-zaḳhm se raushan rakhā siyāhī ko
atā-e-hijr ko najm-e-visāl ham ne kiyā
basā liyā tirī ḳhushbū ko mazra-e-jāñ meñ
shaguft-e-ġham tujhe kaisā nihāl ham ne kiyā
ik aur mauj thī is mauj-e-āgahī se udhar
so auj-e-aql ko nazr-e-zavāl ham ne kiyā
bahāna koī nahīñ ab safar meñ rahne kā
zamīn-e-ḳhvāb tujhe pā.emāl ham ne kiyā
ye be-niyāzī zarūrī thī kār-e-ulfat meñ
so ḳhud kā dhyān na terā ḳhayāl ham ne kiyā
sabā to ḳhud hī muḳhātib thī ai fazā-e-qafas
gavāh rahiyo na koī savāl ham ne kiyā
dhanak sī ban ga.ī goyā.ī se samā.at tak
ye kis ke rañg ko juzv-e-maqāl ham ne kiyā
hamāre zaḳhm kī surḳhī baḌhā gayā 'arshad'
vo barg-e-sabz jise dast-māl ham ne kiyā
Top Urdushayar.com