Arshad Abdul Hamid

nazar mein sulh bhi sar par lahu bhi dekhta hai

Arshad Abdul Hamid

Tonk, Rajasthan, India

nazar meñ sulh bhī sar par lahū bhī dekhtā hai
mujhe to rashk se merā adū bhī dekhtā hai
maiñ shorishoñ meñ bhī dil ko qarīb rakhtā huuñ
yahī to hai jo pas-e-hāv-hū bhī dekhtā hai
charāġh unhīñ kī visātat se jal rahā hai magar
kabhī havāoñ ko ye tund-ḳhū bhī dekhtā hai
mujhe ye motī samundar yuuñ hī nahīñ detā
vo mere hausle bhī justujū bhī dekhtā hai
ye dil asiir tire naqsh-e-pā kā hai lekin
jo chuuk jaa.e to phir chār-sū bhī dekhtā hai
mire junūn ko donoñ aziiz haiñ jānāñ
ye dasht-o-dar hī nahīñ aabjū bhī dekhtā hai
hazār barg-o-samar jam.a ho ga.e 'arshad'
magar ye dil ki ma.āl-e-numū bhī dekhtā hai
Top Urdushayar.com