havā-e-hirs-o-havas se mafar bhī karnā hai
isī daraḳht ke saa.e meñ ghar bhī karnā hai
anā hī dost anā hī harīf hai merī
isī se jañg isī ko sipar bhī karnā hai
chal aa tujhe kisī mahfūz ghar meñ pahuñchā duuñ
phir is ke baad mujhe to safar bhī karnā hai
yahī nahīñ ki pahuñchnā hai āsmānoñ par
duā-e-vasl tujhe ab asar bhī karnā hai
hameñ to sham.a ke donoñ sire jalāne haiñ
ġhazal bhī kahnī hai shab ko basar bhī karnā hai