rukā to raaz khulā kab se apne ghar meñ thā
ki merā ghar to mirī hālat-e-safar meñ thā
bahut ajiib sā dukh thā jo tū ne mujh ko diyā
ki ik tabassum-e-maḳhfī bhī chashm-e-tar meñ thā
iraq o shaam ke parde meñ be-naqāb huā
tamām dahr kā dukh ek nañge sar meñ thā
qadam urūs-e-vafā ke kahāñ kahāñ pahuñche
hinā kā rañg sitāroñ kī rahguzar meñ thā
bas ek jur.at-e-rindāna arsa-e-shab meñ
palak jhapakte hī maiñ arsa-e-sahar meñ thā
hazār rañg the us ke hazār pahlū the
judā judā vo jhalaktā nazar nazar meñ thā
ba-faiz-e-bār-e-malāmat jhukī kamar merī
harā shajar thā magar shahr-e-be-samar meñ thā