rukte hue qadmoñ kā chalan mere liye hai
sayyāra-e-hairat kī thakan mere liye hai
koī mirā aahū mujhe lā kar nahīñ detā
kahte to sabhī haiñ ki ḳhutan mere liye hai
tap sī mujhe aa jaatī hai āġhosh meñ us kī
vo barf ke gaale sā badan mere liye hai
haiñ jū-e-tab-o-tāb pe anvār ke pyāse
aur shaam kā ye sāñvalā-pan mere liye hai
qandhār na kābul na yaman mere liye hai
miTTī ke ujaḌne kī chubhan mere liye hai
bārūt meñ bhunte hue alfāz o mafāhīm
ab to yahī tasvīr-e-suḳhan mere liye hai
duniyā hī nahīñ ḳhud se ḳhafā rahtā huuñ 'arshad'
jiine kā ye andāz hī fan mere liye hai