abhī to faisla baaqī hai shaam hone de
sahar kī oT meñ mahtāb-e-jāñ ko rone de
tirī nazar ke ishāre na raushnī ban jaa.eñ
to phir ye raat kahāñ jugnuoñ ko sone de
bahut huā to havāoñ ke saath ro lūñgā
abhī to zid hai mujhe kashtiyāñ Dubone de
hamāre ba.ad bhī kaam aa.egī junūñ kī aag
ye aag zinda hai is ko na sard hone de
sadī se māñgegī aglī sadī hisāb-e-gunah
mire sarishk ko lamhoñ ke daaġh dhone de
ye ġham mirā hai to phir ġhair se ilāqa kyā
mujhe hī apnī tamannā kā baar Dhone de
babūl sabz hai bāñdhe hisār-e-nāz 'ajmal'
mujhe bhī apnī zamīñ meñ chīnār bone de