Kabir Ajmal

bujhti ragon mein nur bikharta hua sa main

Kabir Ajmal

Banaras, Uttar pradesh, India

1967
bujhtī ragoñ meñ nuur bikhartā huā sā maiñ
tūfān-e-nañg-e-mauj guzartā huā sā maiñ
har shab ujāltī huī bhīgī rutoñ ke ḳhvāb
aur misl-e-aks-e-ḳhvāb bikhartā huā sā maiñ
mauj-e-talab meñ tair gayā thā bas ek naam
phir yuuñ huā ki jī uThā martā huā sā maiñ
ik dhund sī falak se utartī dikhā.ī de
phir us meñ aks aks sañvartā huā sā maiñ
dast-e-duā uThā to uThā us ke hī huzūr
lekin ye kyā usī se mukartā huā sā maiñ
ab ke havā chale to bikhar jā.ūñ duur tak
lekin tirī galī meñ Thahartā huā sā maiñ
maiñ bujh gayā to kaun ujālegā terā ruup
zinda huuñ is ḳhayāl meñ martā huā sā maiñ
'ajmal' vo nīm-shab kī duā.eñ kahāñ ga.iiñ
ik shor-e-āgahī hai bikhartā huā sā maiñ
Top Urdushayar.com