Kabir Ajmal

hawa ki zad pe charagh-e-shab-e-fasana tha

Kabir Ajmal

Banaras, Uttar pradesh, India

1967
havā kī zad pe charāġh-e-shab-e-fasāna thā
magar hameñ bhī usī se diyā jalānā thā
hameñ bhī yaad na aa.ī bahār-e-ishva-tarāz
use bhī hijr kā mausam bahut suhānā thā
safar azaab sahī dasht-e-gumrahī kā magar
kaTī tanāb to ḳhema ujaḌ hī jaanā thā
hamīñ ne raqs kiyā naġhma-e-fanā par bhī
hameñ hī palkoñ pe hijrat kā baar uThānā thā
usī kī guuñj hai tār-e-nafas meñ ab ke miyāñ
sadā-e-hū ko bhī varna kise jagānā thā
ham aise ḳhāk-nashīnoñ kā zikr kyā ki hameñ
lahū kā qarz to har haal meñ chukānā thā
vo mere ḳhvāb churā kar bhī ḳhush nahīñ 'ajmal'
vo ek ḳhvāb lahū meñ jo phail jaanā thā
Top Urdushayar.com