siyāhī Dhal ke palkoñ par bhī aa.e
koī lamha dhanak ban kar bhī aa.e
gulābī sīḌhiyoñ se chāñd utre
ḳhirām-e-nāz kā manzar bhī aa.e
lahū rishtoñ kā ab jamne lagā hai
koī sailāb mere ghar bhī aa.e
maiñ apnī fikr kā koh-e-nidā huuñ
koī hātim mire andar bhī aa.e
maiñ apne aap kā qātil huuñ 'ajmal'
mirā aaseb ab bāhar bhī aa.e