vo ḳhvāb talabgār-e-tamāshā bhī nahīñ hai
kahte haiñ kisī ne use dekhā bhī nahīñ hai
pahlī sī vo ḳhushbu-e-tamannā bhī nahīñ hai
is baar koī ḳhauf havā kā bhī nahīñ hai
us chāñd kī añgḌā.ī se raushan haiñ dar o baam
jo parda-e-shab-rañg pe ubhrā bhī nahīñ hai
kahte haiñ ki uThne ko hai ab rasm-e-mohabbat
aur is ke sivā koī tamāshā bhī nahīñ hai
is shahr kī pahchān thiiñ vo phuul sī āñkheñ
ab yuuñ hai ki un āñkhoñ kā charchā bhī nahīñ hai
kyuuñ baam pe āvāzoñ kā dhammāl hai 'ajmal'
is ghar pe to aaseb kā saaya bhī nahīñ hai