mujh ko taqdīr ne yuuñ be-sar-o-āsār kiyā
ek darvāza duā kā thā so dīvār kiyā
ḳhvāb-e-ā.inda tire lams ne sarshār kiyā
ḳhushk bādal the hameñ tū ne guhar-bār kiyā
dekhne kī thī nigāhoñ meñ anā kī sūrat
us giraftār ne jab mujh ko giraftār kiyā
muddatoñ ghaav kiye jis ke badan par ham ne
vaqt aayā to usī ḳhvāb ko talvār kiyā
merī chāhat ne ajab rañg dikhāyā mujh ko
kashmakash se mirī āñkhoñ ko girāñ-bār kiyā
ik masīhā ko mirā chashm-numā Thahrāyā
ek qātil ko mirā ā.īna-bardār kiyā
kaaT kar pheñk dī sansār kī kūcheñ ham ne
sabr ko phuul kiyā phuul ko talvār kiyā