Kabir Ajmal

bajae gul mujhe tohfa diya babulon ka

Kabir Ajmal

Banaras, Uttar pradesh, India

1967
bajā.e gul mujhe tohfa diyā babūloñ kā
maiñ munharif to nahīñ thā tire usūloñ kā
izāla kaise karegā vo apnī bhūloñ kā
ki jis ke ḳhuun meñ nashsha nahīñ usūloñ kā
nafas kā qarz chukānā bhī koī khel nahīñ
vo jaan jā.egā anjām apnī bhūloñ kā
na.ī talāsh ke ye mīr-e-kārvāñ hoñge
banāte jaao yuuñ hī silsila bagūloñ kā
ye aaḌī tirchhī lakīreñ badal nahīñ saktīñ
hazār vāsta dete raho usūloñ kā
tamām falsafa-e-kā.enāt khul jaate
kahāñ se TuuT gayā silsila nuzūloñ kā
inhīñ se mujh ko milā azm-e-zindagī 'ajmal'
maiñ jāntā huuñ ki kyā hai maqām phūloñ kā
Top Urdushayar.com