na.ī zamīn na.e āsmāñ sañvarte raheñ
yahī hai shart to phir harf harf marte raheñ
yahī sazā hai ki lamhoñ kī bāz-gasht ke baad
sadī sadī tire kūche meñ bain karte raheñ
vo inqilāb lakīroñ se jo ubhar na sakā
kahāñ talak usī ḳhāke meñ rañg bharte raheñ
kuchh aur chāhiye dīvāngī ko hadd-e-junūñ
kuchh aur arsa-e-mahshar ki ham guzarte raheñ
koī sadā koī āvāza-e-jaras hī sahī
koī bahāna ki ham jaañ nisār karte raheñ