apnī anā se bar-sar-e-paikār maiñ hī thā
sach bolne kī dhun thī sar-e-dār maiñ hī thā
sāzish rachī ga.ī thī kuchh aisī mire ḳhilāf
har anjuman meñ bā.is-e-āzār maiñ hī thā
sau kartaboñ se zaḳhm lagā.e ga.e mujhe
shāyad ki apne ahd kā shahkār maiñ hī thā
lamhoñ kī bāz-gasht meñ sadiyoñ kī guuñj thī
aur āgahī kā mujrim-e-iz.hār maiñ hī thā
tahzīb kī ragoñ se Tapakte lahū meñ tar
dahlīz meñ paḌā huā aḳhbār maiñ hī thā
'ajmal' safar meñ saath rahīñ yuuñ sa.ūbateñ
jaise ki har sazā kā sazā-vār maiñ hī thā