Kabir Ajmal

kuchh talluq bhi nahin rasm-e-jahan se aage

Kabir Ajmal

Banaras, Uttar pradesh, India

1967

kuchh ta.alluq bhī nahīñ rasm-e-jahāñ se aage

us se rishta bhī rahā vahm o gumāñ se aage

le ke pahuñchī hai kahāñ sīm-badan ḳhvāhish

kuchh ilāqa na rahā sūd-o-ziyāñ se aage

ḳhvāb-zāroñ meñ vo chehra hai numū sūrat

aur ik fasl ugī rishta-e-jāñ se aage

kab talak apnī sāñsoñ chukātā rahūñ qarz

ai mirī aañkh koī ḳhvāb dhuāñ se aage

shāḳh-e-ehsās pe khilte rahe zaḳhmoñ ke gulāb

kis ne mahsūs kiyā shorish-e-jāñ se aage

jab bhī bol uTTheñge tanhā.ī meñ likkhe hue harf

phailte jā.eñge nāqūs o azaañ se aage

jis kirnoñ se ujālā hai lahū meñ 'ajmal'

jal rahā hai vo diyā kāhkashāñ se aage

Top Urdushayar.com