koī bhī shai ho miyāñ jaan se pyārī kise hai
jaan haarī hai to ye dekhiye haarī kise hai
kornish gul ko kare kaliyoñ ko ādāb kahe
hosh ye mamlikat-e-bād-e-bahārī kise hai
dil bhī bas ek namūna hai ki duniyā pe miTā
nazr zebā thī kise aur guzārī kise hai
ek khūñTe se bañdhe dasht-o-daman dekhe haiñ
ab mayassar ram-e-āhū-e-tatārī kise hai
uḌ chalo muntaḳhab-e-ḳhās haiñ us ke ham log
varna hāsil ye tamannā kī savārī kise hai
ik sitāre ke liye sar falak kartā huuñ
dosto fursat-e-sayyāra-shikārī kise hai