jab palak jhapke to manzar kā varaq ban jaa.e hai
dil meñ kuchh aa.e nazar bāhar nazar kuchh aa.e hai
chup kā sīdhā peḌ hai bolo to jhuktā jaa.e hai
haa.e chhūne kī tamannā jo mujhe taḌpā.e hai
sardiyoñ kī lambī rāteñ oḌh kar so jaa.e hai
din ke sūraj ke ḳhayāloñ hī se dil garmā.e hai
yaad kī ḳhushbū se apne jism ko mahkā.e hai
vo parī-paikar jo mere naam se sharmā.e hai
har ghaḌī har aan bijlī kī tarah lahrā.e hai
merī kachchī koTharī meñ jhāñk kar rah jaa.e hai
zaat ke ġhāroñ meñ chhup kar hī koī bahlā.e hai
raushnī meñ jism kī ḳhvāhish mujhe le aa.e hai
chūḌiyoñ kī bañsarī par raag 'mājid' gaa.e hai
ghup añdhere meñ sadā us kī badan ban jaa.e hai