Majid-ul-Baqri

soch ke be-samt darwazon pe jab patthar laga

Majid-ul-Baqri

soch ke be-samt darvāzoñ pe jab patthar lagā

maiñ simaT kar uḌ gayā ḳhālī badan ghar lagā

ghūrtī haiñ har taraf be-nūr āñhkeñ kis liye

ā.īna-ḳhāne meñ āndhe se kaho chakkar lagā

yaad meñ kapḌe badalne ke liye mujh se chhupā

vo kahīñ bhī thā mujhe kuchh der dariyā par lagā

jin muñDeroñ se kabūtar jhāñkte the raat din

itnī ūñchī ho ga.ī haiñ dekhte Dar lagā

ittifāqan ghanTiyāñ kaan meñ bajne lagīñ

maiñ akelā thā ghar meñ saarā ghar mandar lagā

Top Urdushayar.com