ye zor-o-shor sar-e-ābshār kaisā hai
ḳhamosh kab se hai ye kohsār kaisā hai
koī hai aur bhī aa.egā jo usī jaisā
vo aa chukā hai magar intizār kaisā hai
jo chāhte haiñ kisī ko yahāñ na aane deñ
batāo shahr-e-talab meñ hisār kaisā hai
ye kaisī shāḳh ke paivand haiñ daraḳhtoñ par
ye kaise phal haiñ ye rañg-e-bahār kaisā hai
hamesha soch se kam hī rahā hai har hāsil
ḳhayāl-o-ḳhvāb kā ye intishār kaisā hai
kisī bhī ghar meñ vo pahlī mohabbat hai hī nahīñ
koī bhī kahtā nahīñ ye dayār kaisā hai
har ek lafz ke ma.anī badal ga.e 'mājid'
jahān-e-sher meñ ye ḳhalfashār kaisā hai