Majid-ul-Baqri

qaid-e-tanhai se qaid-e-umr mein aa jaunga

Majid-ul-Baqri

qaid-e-tanhā.ī se qaid-e-umr meñ aa jā.ūñgā
farq itnā hai ki khānā apne ghar kā khā.ūñgā
saañs kī zanjīr ne jakḌe haiñ mere haath paañv
apnī marzī se koī maiñ kaam kyā kar pā.ūñgā
ye añdherī raat aur be-samt sahrā kā safar
dushmanoñ se bach gayā to ḳhud bhī Thokar khā.ūñgā
aañkh se dekhūñgā jab maiñ hilte hoñToñ kī sadā
maiñ bhī bahrā ho gayā huuñ zor se chillā.ūñgā
naar ab gulzār hone ke zamāne ḳhatm haiñ
bhiik māñgūñgā ḳhudā se giit sab ke gā.uñgā
zābta koī nahīñ hai bārishoñ par munhasir
khet ke bījoñ meñ 'mājid' phūl-phal le ā.ūñgā
Top Urdushayar.com