Majid-ul-Baqri

mujhi se puchh raha tha mera pata koi

Majid-ul-Baqri

mujhī se pūchh rahā thā mirā patā koī
butoñ ke shahr meñ maujūd thā ḳhudā koī
ḳhamoshiyoñ kī chaTānoñ ko toḌne ke liye
kisī ke paas nahīñ tīsha-e-sadā koī
daraḳht haath uThā kar salām karte the
mire junūñ kā mubārak thā marhala koī
samajh sakā na magar koī pattharoñ kī zabāñ
har ek lamha lagā boltā huā koī
ye band lab haiñ ki koī khulī huī sī kitāb
mire savāl pe is dam to boltā koī
varaq pe raat ke likkhī hai sub.h kī tahrīr
ye ek vaqt hai be-rañg-o-nūr sā koī
na harf harf huā aks-e-guftugū merā
samajhnā chāho to le aao ā.īna koī
ik āñ.suoñ kā samundar thā jal-parī kā libās
milā to aaise milā paikar-e-vafā koī
har ek zehan meñ apne hī band hai 'mājid'
fazā ke ḳhol se bāhar hai rāsta koī
Top Urdushayar.com