charāġh-e-dard ki sham-e-tarab pukārtī hai
ik aag sī lab-e-dariyā-e-shab pukārtī hai
adū se jaan bachchī hai na dost bichhḌe haiñ
ye shām-e-giryā hameñ be-sabab pukārtī hai
charāġh-e-shauq pe rah rah ke nuur aatā hai
havā ba-tarz-e-ruḳh-o-chashm-o-lab pukārtī hai
shahīd-e-āb-o-namak haiñ so baḌhte jaate haiñ
shikast o fat.h piyādoñ ko kab pukārtī hai
sadā.eñ de ke bulātī hai shāh-bānu-e-shahr
faqīr jis ke haiñ dekheñ vo kab pukārtī hai
maiñ jaise din kī tab-o-tāb se pareshāñ huuñ
ba-vaqt-e-shām ḳhushī ik ajab pukārtī hai
ham aise kaun anokhe tulūa hote haiñ
jo ham ko dekh ke duniyā ġhazab pukārtī hai