vo zard chehra mo.attar nigāh jaisā thā
havā kā ruup thā bolo to aah jaisā thā
aliil vaqt kī poshāk thā buḳhār us kā
vo ek jism thā lekin karāh jaisā thā
bhaTak rahā thā añdhere meñ dard kā dariyā
vo ek raat kā jugnū thā raah jaisā thā
galī ke moḌ pe Thahrā huā thā ik saaya
libās chup kā badan par nibāh jaisā thā
chalā to saa.e ke mānind saath saath chalā
rukā to mere liye mahr-o-māh jaisā thā
qarīb dekh ke us ko ye baat kis se kahūñ
ḳhayāl dil meñ jo aayā gunāh jaisā thā
bahut sī bātoñ meñ majbūr thā vo ham se bhī
takallufāt meñ ālam-panāh jaisā thā
ḳhabar ke uḌte hī yūñhī ki mar gayā 'mājid'
purāne ghar kā samāñ jashn-gāh jaisā thā