Majid-ul-Baqri

chand ki kirnon ki chadar ne sab ke rup chhupae hain

Majid-ul-Baqri

chāñd kī kirnoñ kī chādar ne sab ke ruup chhupā.e haiñ
āñkhoñ vaale sab hī jā kar nagrī se lauT aa.e haiñ
tārīkī kā naam ho raushan aage pīchhe ek diyā
raushniyoñ ke vīrāne meñ aage pīchhe saa.e haiñ
kirnoñ ke dhāgoñ ko sameTe uun kā golā Duub gayā
nañgī dhartī lambī rāteñ dekh ke ham tharrā.e haiñ
jhāḌī jhāḌī sūñgh rahā huuñ koī bhī ḳhargosh nahīñ
kuttoñ jaise pair kahāñ se har jhāḌī tak aa.e haiñ
lohe aur patthar kī saarī tasvīreñ miT jā.eñgī
kāġhaz ke parde par ham ne sab ke ruup jamā.e haiñ
ghanTī kī āvāzeñ sach haiñ chīḳh pe koī kaan na do
lohe ke tābūt meñ 'mājid' insānoñ ke saa.e haiñ
Top Urdushayar.com