bāzgasht chār-sū sadāoñ kī
baat kyā kījiye nazāroñ kī
dil meñ ḳhushbū basī hai sandal kī
raqs kartī huī fazāoñ kī
saat rañgoñ kī qaus hai har sū
phuul dar phuul in qatāroñ kī
qissa-e-hijr kī kahānī meñ
baat hai sirf chāñd tāroñ kī
ham ne oḌhī hai ik siyāh chādar
aap ke zulf kī ghaTāoñ kī
husn kā kyā muvāzana kiije
ḳhud vazāhat ho tum bahāroñ kī
dhuup jaisī tamāzateñ har dam
baat hī aur maañ kī chhāñv kī
ham ne to ḳhud pe inhisār kiyā
koī hājat nahīñ sahāroñ kī