shikva nasīb kā na kare baar baar tū
mushkil hayāt hañs ke hamesha guzār tū
kyuuñ fikr hāl-o-māzī kī kartā hai roz-o-shab
sab us ko iḳhtiyār hai be-iḳhtiyār tū
māyūs kyuuñ jafāoñ se hotā hai be-vajah
sab ke gale meñ Daal vafāoñ ke haar tū
ḳhuddār ban ḳhudī kī talab le ke jī sadā
be-fikr us pe jaan bhī kar de nisār tū
vo sar-parast hai to 'sabā' tujh ko naaz hai
apnā maqām jaan le ḳhud ko sañvār tū