sañg ko chhoḌ ke tū ne kabhī sochā hī nahīñ
apnī hastī meñ ḳhudā ko kabhī DhūñDā hī nahīñ
uljhā uljhā sā hai kyuuñ apne bharam meñ har-dam
tū ne ḳhud apne garebān meñ jhāñkā hī nahīñ
tere hone se karam us kā nazar aatā hai
tujh se baḌh kar koī shāhid vo dikhātā hī nahīñ
us ke bandoñ meñ use DhūñDh agar hai ḳhvāhish
vo sanam-ḳhānoñ ke dar par kabhī dikhtā hī nahīñ
lamha lamha vo samāyā hai rag-o-pai meñ 'sabā'
had se aage kabhī ehsās ne chhoḌā hī nahīñ