mirī zindagī hai tanhā tumheñ kuchh asar to hotā
koī dost tum sā hotā koī ham-safar to hotā
ye tamām saa.e apne chalūñ kab talak sameTe
koī ham-nashīñ to hotā koī chāra-gar to hotā
kabhī kuchh gumān hotā mujhe manziloñ kā apnī
jise apnā ham ne samjhā vahī rāhbar to hotā
maiñ kahāñ se lā.ūñ qismat jo banūñ tumhāre qābil
ki tumhāre ghar ke aage mirā koī ghar to hotā
hai ajiib kashmakash meñ ye 'sabā' kī bandagī bhī
kabhī un ke dar ke laa.eq kabhī merā sar to hotā