ḳhushiyāñ thiiñ bevafā na rahīñ zindagī ke saath
ġham bā-vafā the chalte rahe aadmī ke saath
Dhalne lagī javānī jo aa.ī thī chaar din
Thahrā buḌhāpā qabr talak rahbarī ke saath
andāz zindagī ke badal kar jiyo sadā
apnoñ kī be-ruḳhī ko saho tum ḳhushī ke saath
puujā hai maiñ ne roz-o-shab is qadar use
us kā hī naam likhtī rahī shā.erī ke saath
mujh ko 'sabā' milī hai masarrat bhī is tarah
jaise ki ajnabī ho kisī ajnabī ke saath