be-ruḳhī ne us kī kaisā ye ishārā kar diyā
vaqt se pahle qayāmat kā nazārā kar diyā
laakh kahne par bhī us ne ruḳh pe rakkhā thā naqāb
ik jhalak kī aarzū ko nāgavārā kar diyā
chal paḌe dāman jhaTak kar ham ko pīchhe chhoḌ kar
tanhā āġhāz-e-safar par kyuuñ dobāra kar diyā
ḳhud hī lau ummīd kī us ne jagā.ī aur phir
toḌ kar ummīd ḳhud hī be-kināra kar diyā
kaisī bedardī se toḌā us ne naata pyaar kā
kyuuñ jahāñ meñ phir 'sabā' ko be-sahārā kar diyā