be-qarārī dil-e-muztar kī baḌhā.ī ham ne
aaj phir tum se koī aas lagā.ī ham ne
mushkileñ rāh-e-vafā meñ bhī banā.īñ āsāñ
rasm-e-ulfat to ba-har-taur nibhā.ī ham ne
shāyad aa jaao kisī roz kabhī lauT ke tum
bas usī aas meñ har raah sajā.ī ham ne
tum kabhī the na hamāre na kabhī hoge sanam
ye samajhne meñ bahut der lagā.ī ham ne
haa.e dilkash vo adā.eñ dil-āvez nazar
jin meñ uljhe rahe aur umr gañvā.ī ham ne
koī shikva na shikāyat na gila hai tum se
apne hī haath se hastī bhī miTā.ī ham ne
rahne vaale haiñ 'sabā' arsh-e-barīñ ke vo to
kahkashāñ phir bhī sar-e-farsh bichā.ī ham ne