gul-posh bām-o-dar haiñ magar ghar meñ kuchh nahīñ
ye sab nazar kā nuur hai manzar meñ kuchh nahīñ
maujoñ kā iztirāb ho yā gauhar-e-hayāt
ehsās kā fusūñ hai samundar meñ kuchh nahīñ
parchhā.iyoñ kā naach hai vīrān sahn meñ
āseb-e-shab hai aur mire ghar meñ kuchh nahīñ
manzil se be-niyāz chale jā rahe haiñ log
bhaTke huoñ kī aañkh ke patthar meñ kuchh nahīñ
din raat jhāñktā hai darīchoñ se zehn ke
afkār kā jamāl hai paikar meñ kuchh nahīñ
'zauqī' galī galī meñ haiñ takiye fareb ke
aġhrāz kī sadā hai qalandar meñ kuchh nahīñ