Arshad Abdul Hamid

shart-e-diwar-o-dar-o-baam uTha di hai to kya

Arshad Abdul Hamid

Tonk, Rajasthan, India

shart-e-dīvār-o-dar-o-bām uThā dī hai to kyā
qaid phir qaid hai zanjīr baḌhā dī hai to kyā
ab bhī tan teġh se laḌ jaa.e to chhan boltā hai
vaqt ne is pe agar dhuul jamā dī hai to kyā
mere ḳhusrav ne mujhe ġham bhī ziyāda baḳhshā
daulat-e-ishq agar mujh ko sivā dī hai to kyā
ham bhī tayyār haiñ phir jaan luTāne ke liye
sāmne phir vahī kuufa vahī vaadī hai to kyā
mujrim-e-dil ko kahāñ faisla sunñe kā dimāġh
us ne baḳhshā hai to kyā aur sazā dī hai to kyā
Top Urdushayar.com