Habeeb Hyderabadi

dil-e-tanha mein ab ehsas-e-mahrumi nahin shayad

Habeeb Hyderabadi

Hyderabad, Telangana, India

1924
dil-e-tanhā meñ ab ehsās-e-mahrūmī nahīñ shāyad
tirī duurī bhī ab dil ke liye duurī nahīñ shāyad
jahāñ din meñ añdherā ho vahāñ rātoñ kā kyā kahnā
yahāñ ke chāñd sūraj meñ chamak hotī nahīñ shāyad
maiñ jab bistar se uThtā huuñ to yuuñ mahsūs hotā hai
mire andar kī duniyā raat bhar sotī nahīñ shāyad
ye kis sahrā ke kis goshe meñ ḳhema taan baiThe haiñ
kisī bhī samt koī rahguzar jaatī nahīñ shāyad
ham apnī zindagī kī dhuup meñ tapne ke aadī haiñ
hameñ ThanDī havā barsoñ se raas aatī nahīñ shāyad
'habīb' is zindagī ke pech-o-ḳham se ham bhī nālāñ haiñ
hameñ jhūTe nagīnoñ kī chamak bhātī nahīñ shāyad
Top Urdushayar.com