ham ahl-e-ārzū pe ajab vaqt aa paḌā
har har qadam pe khel nayā khelnā paḌā
apnā hī shahr ham ko baḌā ajnabī lagā
apne hī ghar kā ham ko pata pūchhnā paḌā
insān kī bulandī o pastī ko dekh kar
insāñ kahāñ khaḌā hai hameñ sochnā paḌā
maanā ki hai farār magar dil ko kyā kareñ
maazī kī yaad hī meñ hameñ Dūbnā paḌā
majbūriyāñ hayāt kī jab had se baḌh ga.iiñ
har aarzū ko pāñv-tale roñdnā paḌā
aage nikal ga.e the zarā apne-āp se
ham ko 'habīb' ḳhud kī taraf lauTnā paḌā