Taseer Siddiqui

teri wafa ka hum ko guman is qadar hua

Taseer Siddiqui

Ahmedabad, Gujarat, India

1974
terī vafā kā ham ko gumāñ is qadar huā
aayā nazar na kuchh bhī dhuāñ is qadar huā
mil kar bhī ham to mil nahīñ paa.e kisī tarah
duniyā kā zulm ham pe javāñ is qadar huā
ghabrā ke dushmanoñ ko gale se lagā liyā
apne hī dostoñ se ziyāñ is qadar huā
ab to bhañvar meñ Duub ke rahnā hai har taraf
sāhil se duur apnā nishāñ is qadar huā
logoñ se ab to koī bhī shikva nahīñ hameñ
jab ye falak hī dushman-e-jāñ is qadar huā
phir ho sakī na merī munazzam ye zindagī
tujh se bichhaḌ ke sail ravāñ is qadar huā
sahrā meñ bah chukī haiñ ye āñkhoñ kī naddiyāñ
dil se kamāl-e-āh-o-fuġhāñ is qadar huā
dushman nahīñ vo apne hī the raaz khul gayā
raushan fasād meñ ye makāñ is qadar huā
allāh rakkhe fan ko mirī bad-nazar se duur
varna ye likhnā mujh pe girāñ is qadar huā
Top Urdushayar.com