Sudarshan Kumar Vuggal

teri zulf ke pech-o-KHam dekhte hain

Sudarshan Kumar Vuggal

1929
tirī zulf ke pech-o-ḳham dekhte haiñ
hamīñ jānte haiñ jo ham dekhte haiñ
ye hālat huī hai junūñ meñ hamārī
ḳhushī dekhte haiñ na ġham dekhte haiñ
bahut dekh lī hai zamāne kī gardish
muqaddar kā ab zer-o-bam dekhte haiñ
tasavvur meñ haiñ jin ke jalve tumhāre
vo husn-e-do-ālam ko kam dekhte haiñ
jhagaḌte haiñ shaiḳh-o-barahman magar ham
tamāshā-e-dair-o-haram dekhte haiñ
sar-e-bazm hai ehtiyāt aaj aisī
na tum dekhte ho na ham dekhte haiñ
kisī chashm-e-maigūñ meñ ham aaj 'rif.at'
chhalakte hue jām-e-jam dekhte haiñ
Top Urdushayar.com