Sudarshan Kumar Vuggal

na manzil hai na manzil ka nishan hai

Sudarshan Kumar Vuggal

1929
na manzil hai na manzil kā nishāñ hai
hamārā kārvāñ phir bhī ravāñ hai
usī Daalī pe apnā āshiyāñ hai
taḌaptī jis jagah barq-e-tapāñ hai
huī haiñ kārgar ġhairoñ kī chāleñ
tire lab par nahīñ hai ab na haañ hai
rahe sayyād har dam jis chaman meñ
vahāñ ġham kī hikāyat jāvedāñ hai
surūr-o-naġhma haiñ ab kal kī bāteñ
yahāñ to ab faqat āh-o-fuġhāñ hai
unheñ kyuuñ rañj ho jaur-o-sitam par
sitamrānī to ḳhū-e-mahveshāñ hai
nahīñ insāñ kī qīmat koī 'rif.at'
purāne daur kī baat ab kahāñ hai
Top Urdushayar.com