Arshad Abdul Hamid

ba-har-tariq use mismar karte rahna hai

Arshad Abdul Hamid

Tonk, Rajasthan, India

ba-har-tarīq use mismār karte rahnā hai
kabhī suḳhan to kabhī vaar karte rahnā hai
daroñ ke vāste dīvār chāhiye jānāñ
so farsh-e-ḳhvāb ko dīvār karte rahnā hai
sahar ke mārka-e-nel-o-bad se kyā matlab
hamārā kaam to bedār karte rahnā hai
vo ek dard jo saiqal nahīñ huā ab tak
usī ko ā.ina-e-yār karte rahnā hai
yahī hai virsa-e-shabbīr kā chalan 'arshad'
ki har yazīd se inkār karte rahnā hai
Top Urdushayar.com