Farhat Ehsas

sab neamaten hain shahr mein insan hi nahin

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
sab ne.amateñ haiñ shahr meñ insān hī nahīñ
kuchh yuuñ ki jaise ye koī nuqsān hī nahīñ
ik āyat-e-vajūd huuñ miTTī ke Dher meñ
mere nuzūl kī to koī shaan hī nahīñ
kābīna-e-vujūd kā maiñ bhī huuñ ik vazīr
aisā ki merā koī qalam-dān hī nahīñ
ye jañg ab kahāñ ho badan meñ ki ruuh meñ
goyā ki ishq kā koī maidān hī nahīñ
dast-e-junūñ bhī tañg huā dasht-e-ishq meñ
ab chaak kyā karūñ ki garebān hī nahīñ
hairāñ huuñ apne qatl kā ilzām kis ko duuñ
tauhīd meñ to shirk kā imkān hī nahīñ
'ehsās' ne butoñ meñ ḳhudā ko kiyā sharīk
is shirk ke baġhair to īmān hī nahīñ
Top Urdushayar.com