ḳhaak o ḳhuuñ kī na.ī tanzīm meñ shāmil ho jaao
zinda rahnā ho tumheñ bhī to mirā dil ho jaao
be-badan ruuh bane phirte rahoge kab tak
jaao chupke se kisī jism meñ dāḳhil ho jaao
shahr tum ko jo pareshān bahut kartā hai
dasht ban jaao aur is shahr pe nāzil ho jaao
nāḳhun-e-ishq se phir sahl banā leñge tumheñ
sohbat-e-shahr meñ tum kitne hī mushkil ho jaao
be-natīja hī rahegā ye musalsal Takrāo
yā to duniyā ke bano yā mutabādil ho jaao
haq-parastī bhī ajab kār-e-mohabbat hai jahāñ
ik qadam had se guzar jaao to bātil ho jaao
'farhat-ehsās' Thahar jaao ye ujlat kaisī
abhī kuchh aur bhī ho lo kisī qābil ho jaao