Farhat Ehsas

raat bahut sharab pi raat bahut paDhi namaz

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
raat bahut sharāb pī raat bahut paḌhī namāz
ek vuzū meñ ho ga.ī mujh se ka.ī ka.ī namāz
tum to azaan de ke yaar jaane kahāñ chale ga.e
masjid-e-jism kyā batā.e kaise paḌhī ga.ī namāz
mere baġhair ho na paa.ī koī namāz-e-zindagī
hogī magar mire baġhair merī vo āḳhirī namāz
maiñ bhī bahut nashe meñ thā nashe meñ thā imaam bhī
us ne paḌhā.ī jaane kyā maiñ ne bhī kyā paḌhī namāz
but-kada thā ki mai-kada saaqī thā but ki thā ḳhudā
sub.h rahā na kuchh bhī yaad raat bahut paḌhī namāz
kaun sunā.egā mujhe merī azaan kī azaan
kaun paḌhā.egā mujhe merī namāz kī namāz
ye bhī koī maraz hai kyā chal diye phir namāz ko
paḌh ke to aa.e the huzūr aap abhī abhī namāz
jaise ki ek hī ġhazal hotī hai saarī umr meñ
vaise hī saarī umr meñ hotī hai ek hī namāz
Top Urdushayar.com