ham apnā ism le kar shahr-e-sifat se nikle
phir ma.arifa-o-nakra saare luġhat se nikle
lafzoñ meñ us ne apne ā.īne rakh diye the
parda-nashīñ ke saare aks us ke ḳhat se nikle
kyā rāstī hamārī apnī kajī se niklī
ham kyā durust ho kar apne ġhalat se nikle
kaj-fahmiyoñ ne jitnī hajveñ likhīñ hamārī
ham utne hī ziyāda apnī likhat se nikle
bāhar galī meñ bhārī fauj-e-ḳhudā paḌī thī
ham kāfir-e-mohabbat nā-chār chhat se nikle
ham jo bachā bachā ke rakhte rahe the ḳhud ko
kañgāl ho ke āḳhir apnī bachat se nikle
kaaTā gayā thā ham ko ik ḳhaas zāviye se
ye sher sab qalam ke us ḳhaas qat se nikle
bechā hai kauḌiyoñ ke mol apnā maal saarā
aur is tarah ḳhud apnī baḌhtī khapat se nikle
suufī the ham magar the rūhāniyat ke qaidī
āḳhir ko apnī miTTī kī ma.arifat se nikle
juġhrāfiya thiiñ yā phir tārīḳh saarī jihatañ
ham ho ke 'farhat-ehsās' apnī jihat se nikle