Farhat Ehsas

KHud se inkar ko ham-zad kiya hai maine

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
ḳhud se inkār ko ham-zād kiyā hai maiñ ne
maiñ vahī huuñ jise barbād kiyā hai maiñ ne
zulm añdhere kā to sūrat mirī ta.amīr kī hai
raushnī kā sitam ījād kiyā hai maiñ ne
koī kartā ho jo dīvār-e-farāmoshī ko paar
us se kah de ki use yaad kiyā hai maiñ ne
ab nikaltā hī nahīñ is qafas-e-hal se kabhī
isī āġhosh ko sayyād kiyā hai maiñ ne
mil ke shaitāñ se likhā lī ye zamīñ naam apne
phir ise mulk-e-ḳhudā-dād kiyā hai maiñ ne
farhat-ullāh ko kholā hai ba-andāz-e-ġhazal
'farhat-ehsās' ko āzād kiyā hai maiñ ne
yaad aatī hai to phir soch meñ paḌ jaatā huuñ
sochtā rahtā huuñ kyā yaad kiyā hai maiñ ne
fard ke lafz ko thī kasrat-e-ma.anī kī talāsh
so use khol ke afrād kiyā hai maiñ ne
merī miTTī to kuñvārī kī kuñvārī hī rahī
jism ko sāhib-e-aulād kiyā hai maiñ ne
us ke do husn haiñ kārīgarī-e-ḳhāk se ek
aur ik vo jise ījād kiyā hai maiñ ne
aap kā hī to thā isrār kuchh irshād karo
aap hī chup haiñ jo irshād kiyā hai maiñ ne
Top Urdushayar.com