jism kī qaid se sab rañg tumhāre nikal aa.e
merī dastak se to tum aur bhī pyāre nikal aa.e
us ke paanī ne diyā hukm to ham Duub ga.e
us kī miTTī ne pukārā to kināre nikal aa.e
ishq pahuñchā jo mire jism ke darvāze par
ḳhair-maqdam ke liye ḳhuun ke dhāre nikal aa.e
us kī āñkhoñ ne yaqīñ kuchh na dilāyā phir bhī
sher kahne ke liye kuchh to ishāre nikal aa.e
shahr kī bhiiḌ meñ gum ho ga.e saare ma.ashūq
ḳhair se ishq miyāñ tum to hamāre nikal aa.e
'farhat-ehsās' to bas Duub ga.e the lekin
beach mañjdhār meñ do-chār kināre nikal aa.e