kuchh bhī na kahnā kuchh bhī na sunñā lafz meñ lafz utarne denā
miTTī kā ye pyāla apne āb-e-hayāt se bharne denā
maiñ bhī mahz ik jism nahīñ huuñ tum bhī mahz ik ruuh nahīñ ho
jism-o-rūh ke aks ko un ke ā.īne meñ utarne denā
apne jism ke ā.īne se har ḳhākī chilman ko haTā kar
sāmne baiThe rahnā mere ruuh ko merī sañvarne denā
sirf havā-e-mohabbat huuñ maiñ ā.ūñgā aur guzar jā.ūñgā
bas itnā karnā mujh ko apne andar se guzarne denā
aur kisī sāhil par jā kar ubharūñgā ek aur badan meñ
miTTī chhoḌ rahā huuñ maiñ mujh ko dariyā meñ utarne denā
tez havā-e-taġhāful ho tum maiñ huuñ gard-o-ġhubār-e-mohabbat
ḳhuub mazā aa.egā mujh ko sāmne apne bikharne denā
is 'ehsās' ko mat uljhānā kisī bhī bahs-e-fanā-o-baqā meñ
jiinā chāhe to jiine denā marnā chāhe to marne denā