Farhat Ehsas

dil ne imdad kabhi hasb-e-zarurat nahin di

Farhat Ehsas

Bahraich, Uttar pradesh, India

1952
dil ne imdād kabhī hasb-e-zarūrat nahīñ dī
dasht meñ aql na dī shahr meñ vahshat nahīñ dī
ishq tū aaj bhī hai kis ke lahū se sarsabz
kis muhim ke liye ham ne tujhe ujrat nahīñ dī
dhuup bolī ki maiñ ābā.ī vatan huuñ terā
maiñ ne phir sāya-e-dīvār ko zahmat nahīñ dī
ishq meñ ek baḌā zulm hai sābit-qadamī
vaqt ne bhī hameñ is baab meñ qudrat nahīñ dī
sar salāmat liye lauT aa.e galī se us kī
yaar ne ham ko koī Dhañg kī ḳhidmat nahīñ dī
kaun sī aisī ḳhushī hai jo milī ho ik baar
aur tā-umr hameñ jis ne aziyyat nahīñ dī
ahl-e-dil ne kabhī maḳhlūt hukūmat na banā.ī
aql vāloñ ne bhī be-shart himāyat nahīñ dī
'farhat-ehsās' to ham ḳhud hī bane haiñ varna
farhat-ullāh ne kabhī is kī ijāzat nahīñ dī
Top Urdushayar.com