ḳhuub honī hai ab is shahr meñ rusvā.ī mirī
beach bāzār ubhar aa.ī hai tanhā.ī mirī
ek baar us ne bulāyā thā to masrūf thā maiñ
jīte-jī phir kabhī baarī hī nahīñ aa.ī mirī
apnī ta.amīr ke malbe se paTā jaatā huuñ
aur pāyāb huī jaatī hai tanhā.ī mirī
ḳhāna-e-vasl azā-ḳhāna-e-hastī ki jahāñ
gūñjtī rahtī hai bas dard kī shahnā.ī mirī
dasht-e-ḳhāmoshī meñ chaltī hai bahut tez havā
duur tak uḌtī huī gard hai goyā.ī mirī
zindagī saal chha-māhī tū milā kar aa kar
ġhairiyat itnī bhalā kis liye māñ-jā.ī mirī
munjamid ho gayā saarā mut.harrik merā
mere paanī pe jamī baiThī hai ab kaa.ī mirī
'farhat-ehsās' taġhazzul se sharābor huā
raat āġhosh meñ kuchh yuuñ ye ġhazal aa.ī mirī